How To Add Payoneer's account into amazon account | Amazon Ebook Publishing Part-4




Hello Friends !!

Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko Amazon pe Payoneer ke accounts ko add kaise karte hai,
uske bare me batauga, to chaliye shuru karte hai,

Payoneer Ki Jarurat Kyu Padi:-

Dosto, Jab mene amazon pe ebook publish krna shuru kiya to jab mene amazon ke payment details ke section me apne indian bank accounts ki details submit kar di,
tab us par likh ke aaya ki indian bank account me keval us doller aur indian rupye ki payments to aa jayegi lekin Britain aur europe ke markets me huyi selling ki payments check ke jariye bheji jayegi,
Us time me itna jyada kuch nhi janta tha to mene kuch nhi kiya aur din raat ebooks upload krta rha aur ek din meri amazon se meri payment milne ka email mila, meri khushi ka thikana nhi rha, jab 2-3 din bad mere account me rupye aaye to pta chala ki ye to bas 2 market ki selling ki payments hai aur baki ke 6 markets ki payments check ke jariye aayegi aur wo bhi tab jab un markets me 100$ ka amount ho jayega, kyki wo 100$ se kam ka check nhi bhejte, ab to me bahut preshan ho gya, kyki mujhe rupyo ki bahut jarurat thi aur mene din-raat kam bhi kiya tha,
phir mujhe pata chala ki payoneer ke jariye hum sare markets me huyi selling ki payments apne indian bank accounts me maga skte hai,
mene jaldi se payoneer ke liye register kiya aur use apne amazon ke account me add kar diya,
jiske jariye mujhe har market me hone vali ebook selling ki payments milne lagi chahe meri selling 1 euro hi kyu na huyi ho.

Payoneer ke liye register kaise kare:-

to agar aap bhi payoneer ke liye register krna chahte hai to  neeche di gayi image pe click kre, is link ke through signup krne par aapko poore 50$ milege wo bhi bilkul free.


To dosto...ummid hai ki aap logo ko Amazon ke account me Payoneer accounts ko kaise add karte hai, iske bare me sufficient knowledge hasil ho gyi hogi.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke jo
bhi questions ho comment krke puchche,
mujhe aapki madad krke bhut achha lagega.


Happy Digital Life !!


No comments:

Post a Comment