My Payment Proof Of Amazon Ebook Publisnhig | Earn Money Online




Hello Friends !!

Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko apni amazon ki payments proof dikhauga, jise mene payoneer
ke through recive kiya hai,
to chaliye shuru karte hai,


Amazon Ebook Publisnhig Kya Hai:

dosto, me bhi pahle aap logo ki hi tarah internet par rupye kamane ke tareeke search krta
rehta tha par jisse bhi puchho to wo bas kehta ki Blogging kro, ya Freelancing Kro ya
koi Afdiliate Marketing krne ko kehta, Jab mene inke bare me thoda bhut janne ki koshish ki
to pata chala ki in sab kamo ke liye thodi bahut technical knowledge ka hona jaruri hai,
Mujhe Thodi Bahut knowledge to thi but jab mene thodi aur jankari hasil ki to kisi ne bataya ki
uske Blogging ke liye Domain aur hosting buy krni padti hai, yani ki pahle rupye kharch krne padege,
tab mene phir se rupye kamane ke aese tarike search krne shuru kiye jinme jyada technical knowledge ki jarurat na ho aur rupye bhi kharch na krna pade,


Phir ek din mujhe  Online Ustaad name ke blog pe paise kamane ke 600 tarike ke bare me ek achhi post padhne ko mili, jab mene use padha to usme amazon kindle ebooks publishing ke bare me likha tha, aur uske liye na to technical knowledge ki jarurat thi aur na hi money investment ki,
bas jarurat thi to ek computer aur ek internet connection ki.


phir mene Amazon ki website par jakar ek free account banaya, lekin ab mere samne ek problem ye thi ki mujhe to books likhni aati hi nhi thi, kyki me writer thode hi tha, phir mujhe online ustaad se hi pta chala ki hum public domain books ko bhi upload kar skte hai,


#PUBLIC DOMAIN BOOKS: Wo books jinhe 1923 se pahle publish kiya gya ho ya un books ke original writer mar gye ho. un books ko publish domain books kehte hai,

to mene lagbhag 200 books upload ki jinse pahle mahine mujhe 42 Dollers aur 10 Euros aur 10 British Pounds ki income huyi, jo total 4100 rupye huye,
jinhe mene payoneer ke account ke through apne bank account me recieve kar liya,
agar aap log bhi Payoneer ka account banana chahte to niche di gayi image pe click kre.

Aur Ab tak me total 461 Dollers Earn kar chuka hu, Aur is paise se me blogging aur affiliate me invest karke usse bhi rupye kamane ke bare me seekh rha hu.
To dosto...ummid hai ki aap logo ko Amazon pe ebook publishing kaise krte hai aur
ebook selling karke monthly 5000-10,000 rupye kaise kamate hai
iske bare me sufficient knowledge hasil ho gyi hogi.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke jo
bhi questions ho comment krke puchche,
mujhe aapki madad krke bhut achha lagega.


Happy Digital Life !!


No comments:

Post a Comment