3 best Ways To Earn Money Online


Hello Friends !!

Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko Online rupye kamane  ke 3 sabse acche
tariko ke bare me batauga,

1. Blogging.
2. Freelancing.
3. Affiliate Marketing.

sabse pahle bat karte hai blogging ki,


# Blogging :-

 Kisi bhi topic ya subject se related information ko regular
              share krna blogging kehlati hai,
              Blogging se paise kamane ke liye hume bas ek blog site banani padti hai,
              aur kisi ek khas topic se related information ko apne blog pe
              share krna padta hai,

blogging shuru krne ke liye hme blogger.com ya wordpress.com pe free
blog site banani padti hai,
uske bad hume jis bhi topic ki achhi knowledge ho, us topic se related
information ko logo ke sath share krna padta hai,
jab logo kisi specific topic se realted jankari ko internet pe search krte hai,
to google ya other search engine us topic se realated jo bhi blog post hoti hai.
unhe user ke samne lakar show kar deta h,to jab hmari site pe jyada visitors
aane lagte hai,
to phir hum apni blog site se rupye kama skte hai, apne blog se rupye kamane ke liye
hume apni site pe advertisement lagane padte hai,
jaise television pe income source advertisement se aati hai, vaise hi internet pe
bhi website ki income advertisements se aati hai,

Blog Se Paise Kaise Kamate Hai:-

jaisa ki aap sab jante hai ki,
aaj ke jamana advertisement ka hai, to internet pe advertisement ka sabse achha
paisa google deta h, kyki google ek bhut badi company hai, aur uske advertisement
program ka name hai, google adsense.
to jab hamare blog pe bhut sare visitors aane lagte hai,
to hum apni sites ko google adsense ke liye apply kar dete hai, to jab hume
adsense se advertisement ka approvl mil jata hai,
to phir hmari site pe google hmare  blog ke topic se related ads dikhana
shuru kar deta hai,
jab hamri site pe mojud visitors in ads pe click krta hai to hmare adsense me
rupye aana shuru ho jata hai,
is tarah hum blogging krke mahine ke 5000-10000 rupye aasani se kama skte hai,
----------------------------------------------------


# Freelancing :- 

Apne ghar baith kar apni skills ke mutabik kam karke online paise
                 kamane ko freelancing kehte hai,
Aaj ke jamane me kam do tariko se kar skte hai,

first way : kisi company me job krke roj office jao aur suvah 9 baje se sham 5 baje tak
            kam kro aur monthly sallery lo.

second way : freelancing, aapko jo bhi kam aata ho, usse related online kam dhudho,
             aur kahi bhi baith kar, kitne bhi baje, apni comfort ke anusar kam
             krke har kam ke bad payment lene ko freelancing kehte hai.

aaj ke jamane me freelancing kam krne ka ek bhut famous tareeka hai,aaj ka youth,
aaj ki young generation bhut smart aur dynamic hai jo 9-5 ki boring job nhi krna
chahta...aur na hi sallery ke liye 30 days tak intzaar krna chahta hai,


Freelancing Se Paise kaise kamate hai:-

aaj ke jamane me pahle se kahi jyada tarah ki jobs create huyi hai,
aur logo ko unki knowledge or skills ke hisab se kam dhudhne ke liye ghar se kahi bahar
jane ki jarurat nhi hai,
ab ghar baithe online apni skills ke mutabik kam mil jata hai, aur use aap apne comfort
le anusar chahe to rat me pura kijiye ya din me ya 2 hour me ya 2 days me,
aur jaise hi aap kam krke client ko doge wo aapke utne kam ke paise aapko de dega,

aaj ke jamane me, data entry operator, accountancy, web development,
software development,online education, virtual assistant type ke job
aasani se mil jate hai,
freelancing krne ke liye internet pe bhut sari websites mojud hai,
1. freelancer.com
2. upwork.com
3. people per hour.com
4. fiverr.com etc
-----------------------------------------------


# Affiliate Marketing:- 

apne blog ya website ke through kisi product ko promote
                        krne ko affiliate marketing kehte hai,


aaj ke time me affilite marketing paise kamane ka bhut achha tarika hai,
jab hum kisi company ke products ko apne blog ya website ke through promote krte hai,
aur jab hamri sites ke visitors un products ko buy krte hai to wo company
un products ki selling karane par hme kuch commisition deti hai, aur is tarah hum
affilite marketing ke through rupye kama skte hai,

affilite marketing krne ke liye pahle hme un websites pe  affilite krne ki permisition
leni padti hai,
affilite marketing ki facility provide krne vali kuch best sites:
1. amazon.com
2. flipkart.com
3. payoneer.com
4. ebay.com etc.

------------------------------------------------------------

To dosto...ummid hai ki aap logo ko Blogging, Freelancing, aur Affiliate Marketing ke
bare me sufficient knowledge hasil ho gyi hogi.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke jo
bhi questions ho comment kijiye,
mujhe aapki madad krke bhut achha lagega.

Happy Digital Life !!

No comments:

Post a Comment