Hello Friends !!
Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko Batauga ki Skype kya hota hai aur ye kis liye use hota hai,
aur Skype ke kya fayde hai,
to chaliye shuru karte hai,
Skype Kya Hai :-
Dosto, skype Cheapest,Fast And Reliable International Voice/Video Calling service
provide krta hai,Aaj Ke world me bhut sari categories aur different-different types
ki online job create huyi hai, aur aaj time globalization ka hai,
to globalizatoin ki vajah se ek country me rehte huye dusri country ke liye
work kiya ja skta hai,
ab asia me rehte huye koi bhi american company ya american person ke liye
kaam kar skta hai,
is tarah ke kaam ko Freelancing kehte hai, To jab koi person kisi dusri
country me mojud client se koi project leta hai,
to use us project ko complete krne ke liye dusri country me mojud apne client
se project ki requirement samajhane ke liye apne client se kayi bar bat
krni padti hai, to normal mobile ya landline se international call krna
kafi costly padta hai, jisse freelancers ko kafi preshani aati thi,
to is pareshani se bachne ke liye hum skype ka use karte hai, skype hume
free international voice aur video calls ki service provide krti hai,
wo bhi free basis, aur kabhi kabhi very low rates par.
jisse freelancers ko kisi another country me mojud apne clients se
project discussion, Video Confrencing, online seminars(Webinar) ko bhut hi
simple and low cost bana diya hai,
Skype Ke Liye Register Kaise Kare:-
Skype ke liye register krne ke liye hume ek email ki jarurat padti hai,
jaise hi hum email ke through signup karte hai, to skype pe hume ekunique username provide kar diya jata hai, uske bad hum skype ke
database me mojud kisi bhi customer se judne ke liye use request send
kar skte hai,
ya phir manually kisi ka contact no. add kar skte hai, aur phir use
free voice/video calls kar skte hai, ye service student-faculty chat, and
live seminar conduct krne ka ek achha medium hai.
To dosto...ummid hai ki aap log Skype aur iske faydo ke bare me jaan gye honge.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke
jo bhi questions ho comment krke puchche,
mujhe aapki help krke bhut achha lagega.
Happy Digital Life !!
No comments:
Post a Comment