Hello Digital Bloggers !!
Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,is post me, mein aapko Batauga ki Me Online World Se kaise rubaru hua aur mera Digital World Ka Experiance
kaisa raha,
to chaliye shuru karte hai,
Meri Digital World Me Entry:-
Dosto, Me College me computer science ka student tha aur mera intrust shuru se computers me tha,but mujhe programming bilul bhi samajh me nhi aati thi,
jab college complete ho gya tab mujhe website designing me thodi si dilchaspi huyi,
uske bad mujhe wordpress pe kam krne ka mauka mila.
Us Dauran mujhe Abdul Wali Sir ke youtube channel se bhut kuchh sikhne ko mila,
waha se mene blogging ke bare me jana,
uske bad mene bhi blogger.com pe ek Blog Website banayi, mene such me ek achhi
good-looking website banayi thi, Is website ka name mene apni City ke name pe rakha tha.
My First Website Was: www.seondha-sankua.blogspot.in
phir mene facebook pe Bloggers Funda Name ka ek group join kiya, usme bhut sare log
the jo online earning karte the, unhe dekh ke mujhe bhi laga ke mujhe paise kamane chahiye,
phir mujhe harsh agarwal ke bare me pata chala ki wo mahine ke 20 Lakh rupye kamata hai
wo bhi blogging se,
lekin me janta tha ki keval Blogging hi ek rasta nhi hai jiske jariye hum online paisa
kama sake...blogging ke alawa bhi bhut sare online kam hai, jiske jariye paisa kamaya
ja sakta hai,
Meri Pahli Online Payment:-
tab mene amazon kindle ebook publishing ki shuruaat ki,meri pahli kamayi keval 38$ thi, but keval 3 mahino ke andar hi mene ise 380$ me badal diya,
aur ab mera plan next 2 months me 1000$ kamane ka hai,
halanki mujhe pahle se yakin tha ki online paise kamana ek sachhi bat hai, par
jab meri amazon se pahli payment aayi tab mujhe yakin ho gya, ki koi bhi person
online paise kama skta hai,
is waqt me amazon ki ebook publishing se monthly 300$ kama leta hu, aur iske sath hi mene
blogging shuru kar di hai, aur payoneer ki affiliate marketing bhi kar rha hu,
amazon ki bhi affiliate marketing me hath aazma rha hu,
aur mera next target freelancing hai.
Log kehte the ki online paise kamane ke 3 sabse best tarike hote hai.
1. Blogging.
2. Affiliate Marketing.
3. Freelancing.
Mera Next Target:-
To bus freelancing reh gyi hai jisme mujhe success hasil krni hai.aur sabse badi bat mujhe internet millionaire banna hai.
To dosto...Ummid hai ki aap log meri success se motivate huye hoge,
har koi safal ho sakta hai...har koi paise kama skta hai.
everything is easy and possible in digital world.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke
jo bhi questions ho comment krke puchche,
mujhe aapki help krke bhut achha lagega.
Happy Digital Life !!
No comments:
Post a Comment